Wednesday, 11 November 2015

#LoveLyric #3

Jaane naa yeh kya hua
Jaane naa main kya se kya ho gayi
Suno, 
kahin yeh tumhare ishq ka surur to nahi
Haa, shayad yeh hai wahi
Kahte hai log 
Chhori tu thi toh naa aesi baawri
Kya, kisi ka thikana hai abb tera dil

Ho gaya hai baawara man
   baawara sa hi hai abb dil;
Bewaqt, bewajah kyun ek hi jid
   kahin toh inn aankhon ko tu jaaye mil

Ho gaya hai Beswadi yeh jahaan
    beswadi si hai abb har manjil
Bedard hua har ek dard, phir kyun
    tum bin jeena behad mushkil

Jaane naa yeh kya hua
Jaane naa main kya se kya ho gayi
Suno, 
kahin yeh tumhare ishq ka surur to nahi
Haa, shayad yeh hai wahi
Kahte hai log 
Chhori tu thi toh naa aesi baawri
Kya, kisi ka thikaana hai abb tera dil.

No comments:

Post a Comment